Motapa kam karne, face aur hairs ki sundarta badhane ke sath sath green tea(hari chay) bahut si bimariyo mein ramban ka kaam karti hai jaise ki blood sugar, cancer, heart problem, aljimar. Hari chay peene se brain ko boost karne ki power milti hai. Green tea mein caffeen hoti hai jo dimag ko teji se kaam karne ki shakti deti hai aur iske rojana isteemaal se body ka stamina (karya karne ki shamta) badhti hai

Green Tea Kaise Banaye, Peene ke Fayde aur Nuksaan Hindi Mein

Green Tea Kaise Banaye

Aaj ke samay mein chay ka upyog adhik hota hai. Jadatar log apne din ki shuruaat chay se hi karte hai. Thakan door karne ke liye bhi kai log chay peete hai. Par jo chay hum peete hai ye hamare shareer ki pachan shakti(digestion system) ko kamjoor karta hai jisse hame gas,kabz aur pet se judi kai bimariya hone lagti hai.

Green tea 2 parkar ki hoti hai ek khuli pattiyo wali aur dusari tea bag wali.

  1. Ek pan le aur usme 1 cup paani ubaal le.
  2. Agar aap khuli pattiyo wali grean tea isteemaal kar rahe hai to paani ubalne ke baad aadha chota chammach green tea ki pattiya pan mein daal kar 2 minute ke liye dhak de, ab ise chaan kar cup mein daale.
  3. Agar aap green tea bag isteemaal kar rahe hai to green tea bag ko khaali cup mein dale aur upar se ubla hua paani dale.
  4. Green tea tyaar hai aap chahe to isme chini ya shahad bhi mila sakte hai.
  5. Green tea mein ilaaychi powder bhi mila sakte hai.
Green Tea Ke Fayde – 12 Health Benefits of Green Tea

Green tea ko camellia sinensis ki pattiyo ko sukha kar tyaar kiya jata hai. Aaiye jaante hai ki green tea peene se hum kon kon si bimariyo se dur reh sakte hai.

1. Cancer ka Rog: Cancer ke mareejo ke liye green tea rambaan ka kaam karti hai. Ye shareer mein cancer ke cell ko badhne se rokti hai. Green tea ka regular upyog karne se pet aur bladder ke cancer ka khatra na ke barabar hota hai. Muh ke cancer (mouth cancer) mein green tea peena bhut hi faydemand upay hai. Har roj green tea peene se mahilao mein breast cancer ki sambhavna  20% tak kam ho jati hai.

2. Sundarta: Jaise jaise umar badhti hai hamare chehre ki skin dheeli padne lagti hai aur face par jhuriya aane lagti hai. Green tea mein anti aging elements hote hai jo aapki skin ko protect karte hai. Har roj green tea peene se chehare par jhuriya nahi aati aur skin dheeli nahi padti aur chehre ki chamak aur tajagi bani rehti hai.

3. Stress Mein Green Tea Ke Fayde: Jab bhi hum bahut tanav mein hote hai chay dawa ka kaam karti hai. Aise mein green tea peene se aapko bhut aaram milta hai. Green tea ki pattiyo ko sir ke pass rakh kar sone se sir dard kam hota hai, in pattiyo ki khusbu mind ko relax kar deti hai.

4. Blood Sugar(Diabetes): Sugar ke mareejo ke liye hari chay ek utam gharelu upchaar hai. Green tea peene se body mein glucose ki maatra control mein rehti hai aur ye insulin dava ke side effects ko bhi kam karta hai.

5. Dil ke Rog (Heart Diseases): Geen tea mein anti-oxidant ki maatra jada hoti hai jo body ke metabolism ko strong banata hai, jisse shareer mein cholesterol control mein rehta hai. Cholesterol control mein rehane se shareer mein blood ka circulation bhi normal rehta hai. Green tea peene walo ko heart attack aane ki aashanka bhut kam hoti hai kyuki ye blood ko patla karta hai jisse khoon ka thakka(blood clot) nahi hota.

6. Wajan Ghatane ke liye: Motapa kam karne aur wajan ghatane mein green tea ek bhut hi asardaar upay hai. Agar aapko lagta hai ki excersise, yoga aur workout karne ke baad bhi aapka wajan kam nahi ho raha to aap apne daily workout ke sath green tea peena shuru kare. Khana khane ke baad 1 cup green tea peene se paachan ki gati badh jaati hai. Green tea mein caffeen ki matra jada hoti hai jo calorie burn karti hai aur wajan kam hone lagta hai. Pet ki charbi kam karni ho to raat ko sone se aadha ghanta pahle 1 cup green tea piye.

7. Body ki Immunity: Green tea mein vitamine C aur antioxident bharpur maatra mein hote hai joki shareer ke free radicals ko nasht karte hai aur body ke immune system ko strong banate hai jisse hamarae shareer mein bimariyo se ladne ke liye takat milati hai. Din mein 3 se 4 cup green tea peene se bimariyo ka khatra kam ho jata hai.

8. Blood Pressure: BP control karne mein green tea ke fayde. Green tea peene se 50% tak high blood pressure mein kami aati hai, ye khoon ki dhamniyo ko aaram pahunchati hai, jisse high bp ki samasya kam ho jati hai.

9. Pairo ki Badboo: Green tea ki mahak strong hoti hai. Iski mahak ko pairo ki badboo dur karne ke liye isteemaal kar sakte hai. Isteemaal ki hui green tea ko paani mein daal de fir usi paani mein pairo ko 15 se 20 minute tak rakhe. Isse pairo ki smell khatam ho jayegi.

10. Baalo ke Liye: Green tea baalo(hairs) ke liye ek conditioner ka kaam karti hai. Green tea ko ubaal kar thanda hone par baalo mein lagaye. Ye natural tarike se aapke baal sundar banayega.

11. Stamina: Lagatar kaam karne ki wajah se shareer mein thakan hone lagti hai, aur green tea peene se thakan door hone lagti hai. Jab bhi aapko ghar ya office mein lagatar kaam karna ho to beech beech mein ek cup green tea piye. Isse aapka mind fresh hoga aur aapke kaam karne ki shamta badhegi.

12. Mouth Problems: Green tea muh ke un bacteria ko nasht karta hai jinki wajah se muh mein infection hota hai aur kai bimariya hone lagti hai jaise ki saans ki badboo, payriya, mouth cancer. Green tea danto ka peelapan kam karta hai aur masudo ko majboot karta hai.

Green Tea Peene Ke Nuksaan : Side Effects

  • Bhukh kam lagti hai.
  • Green tea mein caffeen ki matra jada hoti hai aur iske adhik sevan se neend kam aati hai.
  • Kam umar ke bacho ke liye green tea thik nahi hai. Green tea se bhuk kam lagti hai jisse bacho ko pure poshak tatv nahi mil paate.
  • Garbhwati mahilao ke liye green tea nuksaandeh ho sakti hai. Pregnant mahila ya fir jo garbh dharan karna chahti ho use green tea nahi peena chahiye. Garbhwati mahilao ke liye green tea sahi nahi hai kyuki isse iron aur folic acid kam hota hai.
Green Tea Lene Ka Sahi Samay (Time) aur Tarike
  • Subh khaali pet.
  • Khana khane ke baad.
  • Raat ko sone se pahle.
  • Din mein 3 se 4 cup green tea pe sakte hai.

GREEN TEA KO ADARAK, NEMBU AUR TULSI KE SATH LENA AUR BHI FAYDEMAND HOTA HAI.

Sawdhaniya

Green tea mein caffeine ki matra coffee se jada hoti hai, isliye jarurat se jada hari chay peene se isse hone wale benefits kam ho jate hai. Koshish kare aap green tea ki sahi matra le taaki aapko iska benefit milta rahe aur bimariyo se bache rahe.